Sunday 29 January 2012

Jahannam aur Jannat ka Ek EK Gota ( Dip of the Hell and Paradise)

Urdu Translation:
Anas bin malik Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya laya jayega Ahal-e-Dojakh mein se(ek shaksh)jo duniyadaro mein aasudatar aur khush aishtar tha so dojakh mein usey ek baar gota laga diya jayega aur us sey pucha jayega ki eh aadam ke betey kya tuney kabhi duniya mein aaram dekha tha kya tujhe par kabhi chain(sukun) guzra tha ? to wo kahega ki Khuda ki kasam kabhi nahi eh mere Rab, aur ahal-e-jannat mein se ( ek shaksh) laya jayega jo duniya mein sab logon se ziyada sakht takleef mein tha , jannat mein ek baar gota diya jayega aur phir us sey pucha jayega eh aadam ke betey tuney kabhi takleef bhi dekhi hai ? kya tujh par shiddat aur ranj bhi gujra tha ? wo kahega khuda ki kasam mujh par to kabhi takleef nahi guzri aur mainey to kabhi shiddat aur sakhti nahi dekhi. 
Sahih Muslim ,7082 


English Translation:
Anas b. Malik Radi allaho anho reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said that one amongst the denizens of Hell who had led a life of ease and plenty amongst the people of the world would be made to dip in Fire only once on the Day of Resurrection and then it would be said to him: O, son of Adam, did you find any comfort, did you happen to get any material blessing? He would say: By Allah, no, my Lord. And then that person from amongst the persons of the world be brought who had led the most miserable life (in the world) from amongst the inmates of Paradise. and he would be made to dip once in Paradise and it would be said to him. 0, son of Adam, did you face, any hardship? Or had any distress fallen to your lot? And he would say: By Allah, no,0 my Lord, never did I face any hardship or experience any distress. 
Sahih Muslim Book 039, Number 6738

No comments:

Post a Comment