Thursday 23 February 2012

Jannat waley kaun hain ? Salfi ? Barailvi ? Tablighi ? Lets Ask to Quran......

 
 
English translation:|

 
Many Salfi or Ahal-e-hadith Says we are true, many  Devbandi or Talighi says we are correct, many barelvi say we are on right path …But Allah says in Al Quran…

1. Successful indeed are the believers.           
2. Those who offer their Salat (prayers) with all solemnity and full submissiveness.   
3. And those who turn away from Al-Laghw (dirty, false, evil vain talk, falsehood, and all that Allah has forbidden).   
4. And those who pay the Zakat.          
5. And those who guard their chastity (i.e. private parts, from illegal sexual acts)       
6. Except from their wives or (the slaves) that their right hands possess, - for then, they are free from blame;
7. But whoever seeks beyond that, then those are the transgressors;  
8. Those who are faithfully true to their Amanat (all the duties which Allah has ordained, honesty, moral responsibility and trusts) and to their covenants;      
9. And those who strictly guard their (five compulsory congregational) Salawat (prayers) (at their fixed stated hours).           
10.These are indeed the inheritors      
11.Who shall inherit the Firdaus (Paradise). They shall dwell therein forever.
AL Quran: Al Mumenoon,  Chapter #23,  verse #1- 11

And hold fast, all of you together, to the rope of Allah (i.e. this Qur'an), and be not divided among yourselves.
Al Quran , Aal-e-Imran (3), Verse #103

And obey Allah and His Messenger, and do not dispute (with one another) lest you lose courage and your strength departs, and be patient. Surely, Allah is with those who are As-Sabirun (the patient).
Al Quran: Surah Anfal (8): verse 46 

Stop Abusing ..and fighting with the name of sect…and don’t Backbite and share any kind of video which degrade to any Scholar 
.else its possible that scholar will take your all good deeds in front of Allah.

Hadith: Abu Huraira Radi allaho anho reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: Do you know who is poor? They (the Companions of the Holy Prophet) said: A poor man amongst us is one who has neither dirham with him nor wealth. He (the Holy Prophet) said: The poor of my Umma would be he who would come on the Day of Resurrecton with prayers and fasts and Zakat but since he hurled abuses upon others, brought calumny against others and unlawfully consumed the wealth of others and shed the blood of others and beat others, and his virtues would be credited to the account of one (who suffered at his hand). And if his good deeds fall short to clear the account, then his sins would be entered in (his account) and he would be thrown in the Hell-Fire.
Sahih Muslim Book 032, Number 6251:

::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

Urdu Transaltion

Bahut se Devbandi or Tablighi kahtey hain hamara firqa sahi hai …..bahut se Barelvi kahty hain hum sachchey hain…..bahut se Salfi or ahal-e-hadith kahtey hain ..hamara firqa hi jannati hai aur yahi  kaamyaab hain…… Magar Allah taala kahtey hain…..
1.       Beshaq Imaan waley kaaamyab ho gaye
2.       Jo Apni Namazon mein aajazi karney waley hain
3.       Aur Jo behudah baton se munh modney waley hain
4.       Aur jo Zakat deney waley hain
5.       Aur jo Apni sharmgaho ki hifazat karney waley hain
6.       Magar apni biwiyon aur Ghulam aurton par isliye ki ismein koi ilzam nahi
7.       Phir jo shaksh iskey alawa talabgaar ho to wohi Hadd se nikalney waley hain
8.       Aur jo Apni Amanton aur Apne wadey ka Lihaz rakhney waley hain
9.       Aur jo apni Namazon ki hifazat kartey hain
10.   Wohi waris hai
11.   Jo jannat ul firdaus ke waris hongey wo usmein hamesha rahney waley hongey

AL Quran: Al Mumenoon,  Chapter #23,  verse #1- 11


Ab ye Ho sakta hain is tarah ke kuch log Salfiyon mein se ho, ye bhi ho sakta hai  wo thodey barailvi ho aur ye bhi ho sakta hai wo kuch tableegi ho so kisi bhi firqey ko
completelt bura mat kaho  ho sakta hai us firqey mein kuch  neik aur parhaizgaar ho jo shirk na kartey  ho jo bidat na kartey ho jo kisi ko jahannami na kahtey ho jo Rasoollallah
sallallahu alalihi wasallam  ki shaan mein  gustakhi na kartey ho.  

Sab milkar Allah ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto.
Al Quran , Aal-e-Imran (3), Verse #103

Aur Allah aur uskey Rasool ke hukm par chalo aur aapsa mein jhagda na karna ke ( aisa karogey to) tum buzdil ho jaogey aur tumhara Iqbal jata rahega
( yani taqat khatam ho jayegai) aur sabr se kaam lo ki Allah sabr karney walo ke saath hai
Al Quran: Surah Anfal (8): verse 46 

Allah ke liye Ek dusrey ki aur Ulmao ki Gheebat karna band kar do..aise video jismein
kisi ki Gheebat hoti ho usey share na karo ,ho sakta hai Qayamat ke din  Allah ke samney
wo ulma ya wo shaksh tumhari sari nekiyan le le aur Allah na karey kisi ko  is wajah se jahannam mein jana parh jaye

Hadith: Abu Huraira Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya tum jantey ho muflis kaun hai logon ne arz kiya muflis hum mein wo hai jiskey pass rupaya aur asbaab na ho Aap Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya muflis meri ummat mein Qayamat ke din wo hoga jo namaz layega aur roza aur zakat ( layega) lekin usney duniya mein kisi ko gaali di hogi, kisi ko badkari ki tohmat lagayee hogi, kisi ka maal kha liya hoga, kisi ka khoon kiya hoga, kisi ko maara hoga, phir un logon ko uski nekiyan mil jayegi aur agar uski nekiyan uskey gunaah ada karney se pahley khatam ho jayegi to un logon ki buraeeyan us par daal di jayegi aur wo jahanam mein daal diya jeyaga.
Sahih Muslim, Neki Suluq aur Adab ke masayeel (6579)

1 comment: